hamin se apni nawa ham-kalam hoti rahi
ye tegh apne lahu mein niyam hoti rahi
muqabil-e-saf-e-ada jise kiya aaghaz
wo jang apne hi dil mein tamam hoti rahi
koi masiha na ifa-e-ahd ko pahuncha
bahut talash pas-e-qatl-e-am hoti rahi
ye barhaman ka karam wo ata-e-shaiKH-e-haram
kabhi hayat kabhi mai haram hoti rahi
jo kuchh bhi ban na paDa 'faiz' luT ke yaron se
to rahzanon se dua-o-salam hoti rahi
Ghazal
Hamin se apni nawa ham-kalam hoti rahi
Faiz Ahmad Faiz