hamesha KHun-e-shahidan ke rang se aabaad
ye karbala-e-mualla ye basra o baghdad
jahan ko phir se nawed-e-bahaar dete hain
abu-gharib ki jailon ke kuchh sitam-ijad
hayat-o-marg ke sab marhale tamam hue
kafan lapeT ke nikle hain harche-baad-abaad
purani bastiyan sab KHak-o-KHun mein ghaltan hain
karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad
labon pe KHair ke nare hain aur kuchh bhi nahin
dilon mein jag raha hai zamir-e-ibn-e-ziyaad
iraq KHun-e-shahidan se surKH-ru hoga
bamon ke Dher hain launcher hain tesha-e-farhad
pahunch gae hain hum aise dayar mein ki 'wahid'
jahan gunah to lazim hai nekiyan barbaad
Ghazal
Hamesha KHun-e-shahidan ke rang se aabaad
Waheed Quraishi