اردو हिंदी
Hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai | Shaahi Shayari
hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai

Ghazal

Hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai

Farhat Ehsas

;

hamesha ka ye manzar hai ki sahra jal raha hai
par ab hairat to us par hai ki dariya jal raha hai

tumhein fursat ho jine se to apne par dekho
pas-e-diwar-e-ayyam ek zamana jal raha hai

zara si der ko shane se apna sar haTa le
tere ruKHsar ke shoalon se shana jal raha hai

safar karna hai agli subh aur garmi-e-pa se
mere bistar ka sara paitana jal raha hai

pighal kar gir rahe hain mere sar par chand tare
suna hai aasman ka shamiyana jal raha hai