اردو हिंदी
Hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya | Shaahi Shayari
hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya

Ghazal

Hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya

Farah iqbal

;

hamein to sath chalne ka hunar ab tak nahin aaya
diya apne muqaddar ka nazar ab tak nahin aaya

thin jis baadal ke raste par hawa ki muntazir aankhen
wo shahron tak to aaya tha idhar ab tak nahin aaya

na jaane jangalon mein hum mile kitne daraKHton se
ghana jis ka lage saya shajar ab tak nahin aaya

tazabzub ke andheron mein bhaTakta hai wo ek wada
palaT kar jis ko aana tha wo ghar ab tak nahin aaya

sajaana chhoD de phulon ko in chandi se baalon mein
falak par wo sitara ek agar ab tak nahin aaya

bhula kar bas zara si der sajdon ki ibaadat ko
ye socho kyun duaon mein asar ab tak nahin aaya

jahan lakhon mohabbat ke charaghon se ujala ho
'farah' raushan kisi dil ka wo dar ab tak nahin aaya