اردو हिंदी
Hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai | Shaahi Shayari
hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

Ghazal

Hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

Aashufta Changezi

;

hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai
tumhaare shahr mein fikr o nazar pe pahra hai

saza ke taur pe main doston se milta hun
asar shikast-pasandi ka mujh pe gahra hai

wo ek laKHt KHalaon mein ghurte rahna
kisi tawil masafat ka pesh-KHema hai

ye aur baat ki tum bhi yahan ke shahri ho
jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai

hum apne shanon pe phirte hain qatl-gah liye
KHud apne qatl ki sazish hamara wirsa hai