hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale
hum to sidhe log hain yaro wahi purane wale
un ke hote koi kami hai raaton ki raunaq mein
yaaden KHwab dikhane wali KHwab suhane wale
kahan gain rangin patangen laTTu kanch ke banTe
ab to khel bhi bachchon ke hain dil dahlane wale
wo aanchal se KHushbu ki lapTen bikhraate paikar
wo chilman ki oT se chehre chhab dikhlane wale
baam pe jaane wale jaanen us mahfil ki baaten
hum to Thahre us kuche mein KHak uDane wale
jab guzroge un raston se tapti dhup mein tanha
tumhein bahut yaad aaenge hum sae bichhane wale
tum tak shayad der se pahunche mera mohazzab lahja
pahle zara KHamosh to hon ye shor machane wale
hum jo kahen so kahne dena sanjida mat hona
hum to hain hi shaer baat se baat banane wale
achchha pahli bar kisi ko meri fikr hui hai
main ne bahut dekhe hain tum jaise samjhane wale
aise labaalab kab bharta hai har ummid ka kasa
mujh ko hasrat se takte hain aane jaane wale
saffaki mein ek se hain sab jin ke sath bhi jao
kabe wale is jaanib hain wo but-KHane wale
mere shahar mein mang ab to bas un logon ki hai
kafan banane wale ya murde nahlane wale
git rasile bol sajile kahan sunoge ab tum
ab to kahta hai 'irfan' bhi sher rulane wale
Ghazal
Hamein nahin aate ye kartab nae zamane wale
Irfan Sattar