اردو हिंदी
Hamein jab apna taaruf karana paDta hai | Shaahi Shayari
hamein jab apna taaruf karana paDta hai

Ghazal

Hamein jab apna taaruf karana paDta hai

Farhat Ehsas

;

hamein jab apna taaruf karana paDta hai
na jaane kitne dukhon ko dabana paDta hai

bahut se hanste huon ko laga ke rone par
bahut se rote houn ko hansana paDta hai

kisi ko nind na aati ho raushni mein agar
to KHud charagh-e-mohabbat bujhana paDta hai

kisi ke qurb ki KHwahish mein yun bhi hota hai
ki umr-bhar ke liye dur jaana paDta hai

ghazal-e-husn ko ghar chahiye par us ke liye
KHud apne aap ko sahra banana paDta hai

tum is taraf se jo guzro to itna yaad rahe
ki is nawah mein hum sa diwana paDta hai

kisi sada pe bhi jate nahin miyan 'ehsas'
par aansuon ke bulawe pe jaana paDta hai

ab aa raha ho koi husn us tasawwuf se
to hum ko halqa-e-baiat baDhana paDta hai

KHuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab
jab us se kaam koi kafirana paDta hai

bahut ziyaada hain KHatre badan ki mahfil mein
par apni ek hi mahfil hai jaana paDta hai

hamare pas yahi shairi ka sikka hai
ulaT-palaT ke isi ko chalana paDta hai

ajib tarz-e-taghazzul hai ye miyan 'ehsas'
ki jism-o-ruh ko ek sath gana paDta hai