hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila
bane apni zat mein gunj hum na KHudi mili na KHuda mila
kabhi shahr shahr KHirad phiri kabhi dasht dasht junun gaya
meri zindagi mujhe kuchh bata tujhe kya mila mujhe kya mila
use DhunDte the jo ku-ba-ku wo safar ki gard mein aT gae
kise rah-e-nikhat-e-gul mili kise naqsh-e-pa-e-saba mila
sar-e-sath-e-reg likhi hui koi dastan-e-junun mili
sar-e-lauh-e-ab bana hua koi naqsh-e-kar-e-wafa mila
kise haal apna sunaen hum kise shauq apna bataen hum
koi ham-safar hai zamin ka koi ham-rikab-e-hawa mila
kabhi koi aankh to bhigti kabhi koi dil to pasijta
mere shauq-e-taza-nawai ko ye nawa-gari ka sala mila
meri band aankh pe wa hue kai dar tilism-e-KHayal ke
mujhe nind aae to kis tarah mujhe KHwab-e-ahd-faza mila
main shajar hun mausam-e-dard ka yahi rut hai mere liye sada
kabhi shaKH shaKH hari mili kabhi barg barg juda mila
yahi raushni mere hath hai yahi tazgi mere sath hai
kabhi koi dagh chamak uTha kabhi koi zaKHm naya mila
main chala tha shahr ki rah se magar apni zat mein gum hua
mujhe 'baqar' apni talash thi mujhe aaj apna pata mila
Ghazal
Hamein chaar samt ki dauD mein wahi gard-e-baad-e-sada mila
Sajjad Baqar Rizvi