hamari ruh jo teri gali mein aai hai
ajal ke sadqe mein ye rah dekh pai hai
wahan pahunch nahin saktin tumhaari zulfen bhi
hamare dast-e-talab ki jahan rasai hai
lahu mera teri talwar se mila aisa
ki nagawar pas-e-zabah bhi judai hai
na puchhiye ki tu jalta hai kyun raqibon se
wahi ye aag hai jo aap ne lagai hai
nisar-e-hazrat-e-agha-ali-'hasan'-KHan hun
ziyaada had se meri aabru baDhai hai
Ghazal
Hamari ruh jo teri gali mein aai hai
Muneer Shikohabadi