hamari jit hui hai ki donon haare hain
bichhaD ke hum ne kai raat din guzare hain
hanuz sine ki chhoTi si qabr KHali hai
agarche is mein janaze kai utare hain
wo koele se mera nam likh chuka to use
suna hai dekhne walon ne phul mare hain
ye kis bala ki zaban aasman ko chaT gai
ki chand hai na kahin kahkashan na tare hain
mujhe bhi KHud se adawat hui to zahir hai
ki apne dost mujhe zindagi se pyare hain
nahin ki arsa-e-girdab hi ghanimat tha
magar yaqin to dilao yahi kinare hain
ghalat ki koi sharik-e-safar nahin 'aslam'
sulagte aks hain jalte hue ishaare hain
Ghazal
Hamari jit hui hai ki donon haare hain
Aslam Kolsarii