hamari is wafa par bhi dagha ki
qasam khai thi o kafir KHuda ki
wo musht-e-ustuKHwan hun ai sag-e-yar
agar khae saadat hai huma ki
lab-e-shirin ka jo bosa liya tha
meri us ki shakar-ranji raha ki
wafa se main ne bhi ab hath uThaya
qasam hai mujh ko apne bewafa ki
hui gar sulh bhi to bhi rahe jang
mila jab dil to aankh us se laDa ki
faqiron ke qadam lete hain sultan
ye hai tasir naqsh-e-boriya ki
tasawwur bandh gaya jab us mizha ka
to pahron dil pe barchhi si laga ki
KHuda yun jis ko chahe de saadat
wagarna sag mein KHaslat hai huma ki
nahin uThta hai sar sajde se mera
magar hai sajda-gah us KHak-e-pa ki
kahun jab main ki be tere hun marta
to kahta hai wo but marzi KHuda ki
na aaya minnaton se yar jis dam
to phir kya kya ajal ke iltija ki
Ghazal
Hamari is wafa par bhi dagha ki
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi