اردو हिंदी
Hamari hi badaulat aa gai hai | Shaahi Shayari
hamari hi badaulat aa gai hai

Ghazal

Hamari hi badaulat aa gai hai

Hameed Gauhar

;

hamari hi badaulat aa gai hai
yahan tak jo sadaqat aa gai hai

KHuda main ho gaya phir ek tasadum
aqidon mein siyasat aa gai hai

abhi kal tak dar-e-tauba khula tha
magar ab to qayamat aa gai hai

hamare sabr ka sona parakhne
yazidon ki jamaat aa gai hai

koi tera KHala pur kar na paya
jahan teri zarurat aa gai hai

hamare muntazir the lakh maqtal
magar tujh par tabiat aa gai hai