hamari ghazlon hamare sheron se tum ko ye aagahi milegi
kahan kahan karwan luTe hain kahan kahan raushni milegi
jahan milenge buton ke honTon pe yun to gahri hansi milegi
magar ba-baatin KHulus o shaistagi mein wazeh kami milegi
usi samay hum ne un ko Toka tha baghban jab ye kah rahe the
bahaar aate hi ji uThega chaman nai zindagi milegi
sambhal sambhal kar qadam baDhate hain is tarah maslahat ke pairaw
ki jaise sikke ki tarah raste mein kaamyabi paDi milegi
hamein sata kar jo hain pasheman dil mein shayad wo bach bhi jaen
hamein sata kar jo mutmain hain unhen saza lazmi milegi
bhare hue saghar o subu mein sharab bhar paega na saqi
to phir ghariqan-e-aish-o-ishrat ko KHak aasudgi milegi
nahin hai insaniyat ke bare mein aaj bhi zehn saf jin ka
wo kah rahe hain ki jis se neki karoge us se badi milegi
gham-e-mohabbat ke baad aati hai sarhad-e-iltifat-e-jaanan
sharab ki talKHiyan sahoge to lazzat-e-be-KHudi milegi
ye bad-gumanan-e-anjuman 'shad' kis liye jaan kho rahe hain
naqab uThane ke baad bhi us nigah mein barhami milegi
Ghazal
Hamari ghazlon hamare sheron se tumko ye aagahi milegi
Shaad Aarfi