hamari aql-e-be-tadbir par tadbir hansti hai
agar tadbir hum karte hain to taqdir hansti hai
asiron ka nahin kuchh shor-o-ghul ye aaj zindan mein
mere diwana-pan ko dekh kar zanjir hansti hai
kabhu pahunchi na is ke dil talak rah hi mein thak baiThi
baja us aah-e-be-tasir par tasir hansti hai
tu surat us ki kya khinga apni dekh to surat
musawwir is teri taswir par taswir hansti hai
wahi hai mard jo ho ru-ba-ru tarwar ke 'hatim'
ki munh ke pherte namard par shamshir hansti hai
Ghazal
Hamari aql-e-be-tadbir par tadbir hansti hai
Shaikh Zahuruddin Hatim