hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi
gulon ki shaKH se laTke hue the KHanjar bhi
yahan wahan ke andheron ka kya karen matam
ki is se baDh ke andhere hain dil ke andar bhi
abhi se hath mahakne lage hain kyun mere
abhi to dekha nahin hai badan ko chhu kar bhi
kise talash karen ab nagar nagar logo
jawab dete nahin hain bhare hue ghar bhi
hamari tishna-labi par na koi bund giri
ghaTaen ja chukin chaaron taraf baras kar bhi
ye KHun rang-e-chaman mein badal bhi sakta hai
zara Thahar ki badal jaenge ye manzar bhi
'ali' abhi to bahut si hain an-kahi baaten
ki na-tamam ghazal hai tamam ho kar bhi
Ghazal
Hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi
Ali Ahmad Jalili