اردو हिंदी
Hamare sabr ka ek imtihan baqi hai | Shaahi Shayari
hamare sabr ka ek imtihan baqi hai

Ghazal

Hamare sabr ka ek imtihan baqi hai

Chitransh Khare

;

hamare sabr ka ek imtihan baqi hai
isi liye to abhi tak ye jaan baqi hai

wo nafraton ki imarat bhi gir gai dekho
mohabbaton ka ye kachcha makan baqi hai

mera usul hai ghazlon mein sach bayan karna
main mar gaya to mera KHandan baqi hai

main chand par hun magar mutmain nahin hun main
mere paron mein abhi bhi uDan baqi hai

miTa do jism se meri nishaniyan lekin
tumhaari ruh pe mera nishan baqi hai

tumhein to sach ko ugalne ki thi baDi aadat
tumhaare munh mein abhi tak zaban baqi hai

hamari maut ko barson guzar gae lekin
badan ka KHak se ab tak milan baqi hai