hamare pas to aao baDa andhera hai
kahin na chhoD ke jao baDa andhera hai
udas kar gae be-saKHta latife bhi
ab aansuon se rulao baDa andhera hai
koi sitara nahin pattharon ki palkon par
koi charagh jalao baDa andhera hai
haqiqaton mein zamana bahut guzar chuke
koi kahani sunao baDa andhera hai
kitaben kaisi uTha lae mai-kade wale
ghazal ke jam uThao baDa andhera hai
ghazal mein jis ki hamesha charagh jalte hain
use kahin se bulao baDa andhera hai
wo chandni ki bashaarat hai harf-e-aKHir tak
'bashir-badr' ko lao baDa andhera hai
Ghazal
Hamare pas to aao baDa andhera hai
Bashir Badr