اردو हिंदी
Hamare pas tha jo kuchh luTa ke baiTh rahe | Shaahi Shayari
hamare pas tha jo kuchh luTa ke baiTh rahe

Ghazal

Hamare pas tha jo kuchh luTa ke baiTh rahe

Shafqat Tanveer Mirza

;

hamare pas tha jo kuchh luTa ke baiTh rahe
dayar-e-dil mein qayamat uTha ke baiTh rahe

wahan jahan par andheron ka karwan utra
kisi umid pe shamen jala ke baiTh rahe

tumhaare hijr mein jo kuchh guzar gai guzri
tumhaare wasl mein hum ghar jala ke baiTh rahe

kahan ke dar-o-rasan aur kya shahid-e-wafa
ye karobar bhi kal phir uTha ke baiTh rahe

KHabar na thi ki zaman-ashkar the jo kabhi
wo parda-dar to chalan gira ke baiTh rahe

kaDakti dhup mein dasht-e-safar se ghabra kar
fasil-e-shahr ke sae mein aa ke baiTh rahe

zamana kuchh to kahe un se jo ba-hila-e-dil
kisi ki bazm se hum ko uTha ke baiTh rahe

giri hai ghar ki kaDi par kaDi to ghar wale
ghubar-e-sharm mein chehre chhupa ke baiTh rahe

wo tifl-e-maktab-e-rasm-e-wafa hamin to na the
jo apni yaadon ka mela laga ke baiTh rahe

hai bazgasht hi shayad meri fughan ka jawab
KHuda to apni hi qabron pe ja ke baiTh rahe

wo na-KHuda the zamane mein mo'atabar jo sada
samundaron mein safine baha ke baiTh rahe