hamare pas na dil hai na dil ki baat koi
guzar rahi hai hamare saron se raat koi
akele milte hain sahra ho ya ki dariya ho
kisi ke sath nahin hum na apne sath koi
hamare chehre pe sau rang ki bahaaren hain
ki jaise qalb mein zinda hai kaenat koi
ab is ke baad hawaen hi is ka muddat hain
shajar se TuT raha hai KHizan mein pat koi
tamam fitna-e-dauran mujhi se ubhre hain
kahan hai zist mein mujh se alaihida zat koi
hazar bar girai hain us ki diwaren
ki jaise dil bhi nahin dil hai somnat koi
abas main kaT raha hun ye zindagi 'mamun'
nahin hai jit koi is mein aur na mat koi
Ghazal
Hamare pas na dil hai na dil ki baat koi
Khaleel Mamoon