hamare jism ne jis jism ko bulaya hai
wo ruh ban ke khaDa dur muskuraya hai
pata chala kabhi shahr-e-ana wahin par tha
jahan khanDar pe naya shahr ab basaya hai
hayat naw hai kaghaz ki barha jis par
uDaya aandhiyon ne sail ne bahaya hai
jis aaine pe dhundlakon ne khinch di chilman
usi ne aks hamara hamein dikhaya hai
koi khaDa hai dar-e-dil pe muntazir kab se
mahakti sanson ne aa kar hamein bataya hai
Ghazal
Hamare jism ne jis jism ko bulaya hai
Satya Nand Java