hamare hath mein jab koi jam aaya hai
to lab pe kitne hi pyason ka nam aaya hai
kahan ka nur yahan raat ho gai gahri
mera charagh andheron ke kaam aaya hai
ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the
sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai
tamam umr kaTi us ki justuju karte
baDe dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai
baDhun to rakh banun muD chalun to pathra jaun
safar mein shauq ke nazuk maqam aaya hai
KHabar bhi hai mere gulshan ke lala o gul ko
mera lahu bhi bahaaron ke kaam aaya hai
wo sar-phire jo nigah-dari-e-junun mein rahe
'surur' un mein hamara bhi nam aaya hai
Ghazal
Hamare hath mein jab koi jam aaya hai
Aal-e-Ahmad Suroor