اردو हिंदी
Hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai | Shaahi Shayari
hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai

Ghazal

Hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai

Haseeb Soz

;

hamare doston mein koi dushman ho bhi sakta hai
ye angrezi dawaen hain reaction ho bhi sakta hai

kisi mathe pe har dam ek hi label nahin rahta
bhikari chand hafton mein mahajan ho bhi sakta hai

siyasat naqli noTon ki tarah dhoke se chalti hai
jise rahbar samajhte ho wo rahzan ho bhi sakta hai

mere bachchon kahan tak bap ke kandhon pe baiThoge
kisi din fail us gaDi ka engine ho bhi sakta hai

kabhi chashma haTa kar dekh aankhon se tassub ka
tere daman se ujla mera daman ho bhi sakta hai