hamare dil pe jo zaKHmon ka bab likkha hai 
isi mein waqt ka sara hisab likkha hai 
kuchh aur kaam to hum se na ho saka lekin 
tumhaare hijr ka ek ek azab likkha hai 
suluk nashtaron jaisa na kijiye hum se 
hamesha aap ko hum ne gulab likkha hai 
tere wajud ko mahsus umr bhar hoga 
tere labon pe jo hum ne jawab likkha hai 
hua fasad to is mein nahin kisi ka qusur 
hawa-e-shahr ne mausam KHarab likkha hai 
agar yaqin nahin to uThaiye tariKH 
hamara nam ba-sad-ab-o-tab likkha hai
        Ghazal
Hamare dil pe jo zaKHmon ka bab likkha hai
Manzar Bhopali

