hamare dard ki jaanib ishaara karti hain
faqat kahaniyan hum ko gawara karti hain
ye sadgi ye najabat jo aib hain mere
suna tha in pe to naslen guzara karti hain
KHud apne samne DaT jati hain jo shaKHsiyaten
wo jitti hain kisi se na haara karti hain
sharif log ki jaise sukut-e-ab-e-rawan
kuchh ek maujen magar sar ubhaara karti hain
badal gae hain irade to hasraton mein magar
kuchh aarzuen abhi istiKHara karti hain
sitare un ki chamak mein samana chahte hain
magar wo aankhen falak ko sitara karti hain
baja hain apne masail baja hain apni hudud
kahin kinaron se lahren kinara karti hain
zaban-e-shahr to paiwand-e-KHak-e-jahal hui
magar wo mahfilen ab bhi pukara karti hain
Ghazal
Hamare dard ki jaanib ishaara karti hain
Shehpar Rasool