hamara un ka talluq jo rasm-o-rah ka tha
bas us mein sara saliqa mere nibah ka tha
tujhe qarib se dekha to dil ne socha hai
ki tera husn bhi ek zawiya nigah ka tha
tujhe tarash ke dil mein saja liya main ne
qusur is mein meri rifat-e-nigah ka tha
chale the yun to kai log ku-e-jaanan ko
zara sa hum se magar iKHtilaf rah ka tha
teri jafa ka KHuda silsila daraaz kare
ki us se apna talluq bhi gah gah ka tha
Ghazal
Hamara un ka talluq jo rasm-o-rah ka tha
Gulam jilani Asghar