hamara sajan KHush-nazar baz hai
to us dil mein sab ishq ka raaz hai
gale hath de khele nariyan sun khel
jisun khele piw u sar-afraaz hai
adhar rang bhare suhte manik naman
ki yaqut rang un the warsaz hai
skyan sain chhand sun panwae apas
tuman husn ke tin so u naz hai
sanware hain majlis piya rup sun
madan mutrib us mein KHush-awaz hai
sanwanrya hai man-mohniyan apne tin
piya kun ainu sun turuk taz hai
nabi sadqe 'qubta' pe aanand-dar
ali ki maya the sada baz hai

Ghazal
Hamara sajan KHush-nazar baz hai
Quli Qutub Shah