hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum
jo na gul bhi muskurae to kahan rahe tabassum
na KHata meri nazar ki na gunah tere karam ka
ki nasib-e-ashiqan hai ye shikast-e-be-tasadum
thi bhari bahaar lekin gul-o-bu-e-gul ne samjha
nigah-e-chaman se chhup kar jo kabhi mile hain hum tum
kahin barq jagmagai kahin phul muskurae
jo tere labon ko chhukar hua muntashir tabassum
koi rah hai mohabbat to hujum hai jawani
kahin panw Dagmagae kahin zindagi hui gum
jise gham se kuchh mila hai wahi ham-nafas hai mera
jo shikasta saz-e-dil ho to suno mera tarannum
ye samajh lo zindagi hai safar-e-hazar-jada
gham-e-karwan se chhuTe to 'nushur' kho gae tum

Ghazal
Hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum
Nushur Wahidi