hum zamin-zadon ko aasman bana jaana
pahle KHak kar dena aur phir uDa jaana
jism se juda rahna ruh mein sama jaana
koi aap se sikhe jaan par bana jaana
be-shuur sathi ne sahilon ke basi ne
hum ko sar-phira samjha dasht ki hawa jaana
aur gar qarib aate naqsh aur dhundlate
qurbaton ki duri ko tum ne fasla jaana
be-zamir shahron ke be-zamir logon se
jo bhi mil gaya hum ko wo teri ata jaana

Ghazal
Hum zamin-zadon ko aasman bana jaana
Shafiq Saleemi