hum zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain
hum zamane se tawaqqo hi kahan rakhte hain
ek lamha bhi masarrat ka bahut hota hai
log jine ka saliqa hi kahan rakhte hain
kuchh hamare bhi sitare tere daman pe rahen
hum bhi kuchh KHwab jahan-e-guzran rakhte hain
chand aansu hain ki hasti ki chamak hai jin se
kuchh hawadis hain ki duniya ko jawan rakhte hain
jaan-o-dil nazr hain lekin nigah-e-lutf ki nazr
muft bikte hain qayamat bhi giran rakhte hain
apne hisse ki masarrat bhi aziyyat hai 'zamir'
har nafas pas-e-gham-e-ham-nafasan rakhte hain
Ghazal
Hum zamane se faqat husn-e-guman rakhte hain
Syed Zameer Jafri