hum yunhi bikhre nahin har-su KHas-o-KHashak mein
hain numu-bar-dosh rang-o-bu KHas-o-KHashak main
us ke hone ka guman rahta hai mere aas-pas
har taraf rach-bas gai KHushbu KHas-o-KHashak main
ho samar-awar hamari aabla-pai kahin
chain aa jae kasi pahlu KHas-o-KHashak main
chahiye hoti hai kisht-e-zar ko jab bhi kuchh numu
main baha deta hun kuchh aansu KHas-o-KHashak mein
jaanti hai wo basirat tak ko uljhane ka fan
jau kashish hai surat-e-jadu KHas-o-KHashak main
jab udhar uThte hain tale-azmaun ke qadam
bujhne lagte hain idhar jugnu KHas-o-KHashak main
ye to ai 'jawed' guzre mausamon ki rakh hai
aaKHirash kya DhunDhta hai tu KHas-o-KHashak main
Ghazal
Hum yunhi bikhre nahin har-su KHas-o-KHashak mein
Nazar Javed