اردو हिंदी
Hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain | Shaahi Shayari
hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

Ghazal

Hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

Aziz Ansari

;

hum us ko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain
magar us ke karam ke silsile duniya pe jari hain

karen ye sair karon mein ki uD len ye jahazon mein
farishta maut ka kahta hai ye meri sawari hain

na un ke qaul hi sachche na un ke tol hi sachche
ye kaise desh ke tajir hain kaise byopari hain

hamari muflisi aawargi pe tum ko hairat kyun
hamare pas jo kuchh hai wo saughaten tumhaari hain

nasab ke KHun ke rishte hon ya pine pilane ke
kalai par bandhe dhage ke rishte sab pe bhaari hain

ye apni bebasi hai ya ki apni be-hisi yaro
hai apna hath un ke samne jo KHud bhikari hain

hamein bhi dekh le duniya ki raunaq dekhne wale
teri aankhon mein jo aankhen hain wo aankhen hamari hain

aziz-e-na-tawan ke samne kohsar-e-gham halka
magar ehsan ke tinke azal se un pe bhaari hain