hum un ko haal-e-dil apna sunae jate hain
wo baiThe sunte hain aur muskurae jate hain
wo baad-e-qatl bhi KHanjar lagae jate hain
shahid-e-naz ki shaukat baDhae jate hain
KHamosh mahfil-e-ada mein dur baiThe hain
ghazab hai to bhi wo aaankhon mein khae jate hain
ye infial hai kis kis jafa-gari ke ewaz
ki baat baat mein wo munh chhupae jate hain
samajh hai gaya main kahunga na kuchh KHuda ki qasam
sharab aap mujhe kyun pilae jate hain
ye bazm-e-yar mein hai qadr-o-manzilat 'raunaq'
ki aae koi wahan hum uThae jate hain

Ghazal
Hum un ko haal-e-dil apna sunae jate hain
Raunaq Tonkvi