hum un ki nazar mein samane lage
magar jab nazar bhi na aane lage
ye teri suKHan-saziyan hain nadim
kisi par wo kyun rahm khane lage
na di ghair ne dad-e-tarz-e-sitam
sitam-gar ko hum yaad aane lage
na danish durust aur binish baja
dil-o-dida donon Thikane lage
gaya tha ki in ki KHushamad karun
wo ulTa mujhi ko banane lage
kabhi KHair-maqdam kabhi marhaba
zaban par ye alfaz lane lage
kabhi mere qurban hote rahi
kabhi mujh ko pankha hilane lage
kabhi leT kar panw phaila diye
kabhi dekh kar muskurane lage
kiya main ne jab azm-e-bos-o-kanar
to uTh baiThe aur munh chiDhane lage
kahin phir dupaTTa sambhalne laga
kahin aadmi ko bulane lage
KHudaya kiya kis ne un par sitam
ilahi ye kyun ghul machane lage
wo dam mein kab aate the dete the dam
ki samjhun mere dam mein aane lage
wo mahfil mein aaen to 'nazim' zarur
mughanni ye ashaar gane lage
Ghazal
Hum unki nazar mein samane lage
Syed Yusuf Ali Khan Nazim