hum to mashur the shiddat ke sabab bol uThe
wo but-e-sang bhi mumkin hai ki ab bol uThe
phul alfaz ke phenke hain usi ki jaanib
jaane wo jaan-e-ada naz se kab bol uThe
samna un ka hua jab to thi nazren nichi
be-qarari mein mere dast-e-talab bol uThe
qatl mera bhi hua aur shah-e-waqt ka bhi
ek pe KHamosh rahe ek pe sab bol uThe
uTh ke sahraon se maghrib ko hila de aandhi
yak-zaban ho ke agar arz-e-arab bol uThe
mutmain kyun hain jawan chhati pe patthar rakh kar
waqt paDne pe 'asar' koh ke lab bol uThe

Ghazal
Hum to mashur the shiddat ke sabab bol uThe
Marghoob Asar Fatmi