hum to jaise wahan ke the hi nahin
be-aman the aman ke the hi nahin
hum ki hain teri dastan yaksar
hum teri dastan ke the hi nahin
un ko aandhi mein hi bikharna tha
baal o par aashiyan ke the hi nahin
ab hamara makan kis ka hai
hum to apne makan ke the hi nahin
ho teri KHak-e-astan pe salam
hum tere aastan ke the hi nahin
hum ne ranjish mein ye nahin socha
kuchh suKHan to zaban ke the hi nahin
dil ne Dala tha darmiyan jin ko
log wo darmiyan ke the hi nahin
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane wale yahan ke the hi nahin
Ghazal
Hum to jaise wahan ke the hi nahin
Jaun Eliya