hum teri KHatir-e-nazuk se KHatar karte hain
warna nale to ye patthar mein asar karte hain
dil o din tha so liya aur bhi kuchh matlab hai
bar bar aap jo idhar ko nazar karte hain
faeda kya hai agar sharq se ta-gharb phire
rah-rau we hain jo hasti se safar karte hain
hum to har shakl mein yan aaina-KHane ki misal
aap hi aate hain nazar sair jidhar karte hain
kya ho gar koi ghaDi yan bhi karam farmao
aap is rah se aaKHir to guzar karte hain
tere ayyam-e-firaq ai sanam-e-mehr-ghusil
aah mat puchh ki kis tarah basar karte hain
din ko phirte hain tujhe DhunDne aur raat tamam
shama ki tarah se ro ro ke sahar karte hain
bas nahin KHub ki aise ko dil apna dije
aage tu jaan miyan hum to KHabar karte hain
ye wahi fitna-e-ashob-e-jahan hai 'bedar'
dekh kar pir o jawan jis ko hazar karte hain
Ghazal
Hum teri KHatir-e-nazuk se KHatar karte hain
Meer Mohammadi Bedar