hum tere gham ko jo purkar bana kar uTThe
nafas-e-garm ko talwar bana kar uTThe
aao hum hanste uThen bazm-e-dil-azaran se
kaun ehsas ko bimar bana kar uTThe
raat bhar tajraba-e-KHun-e-jigar hum ne kiya
subh-dam dasht ko gulzar bana kar uTThe
mahfil-e-raaz mein hum sah gae har wahm ki choT
aaKHir ek ishq ka mear bana kar uTThe
un nigahon ka taqaza-e-suKHan yun tha ki hum
be-zabani ko bhi ashaar bana kar uTThe
jab pae-fikr-e-suKHan hum kabhi baiThe 'kausar'
sher ko misr ka bazar bana kar uTThe
Ghazal
Hum tere gham ko jo purkar bana kar uTThe
Kausar Jayasi