اردو हिंदी
Hum sher sunate hain mafhum tumhaara hai | Shaahi Shayari
hum sher sunate hain mafhum tumhaara hai

Ghazal

Hum sher sunate hain mafhum tumhaara hai

Mohammad Khalid

;

hum sher sunate hain mafhum tumhaara hai
gum-karda-e-manzil hain malum tumhaara hai

auraq-e-pareshan hain naqqash kise jaanen
bas harf hamare hain marqum tumhaara hai

ye naghma-e-hasti bhi mansub tumhin se hai
aahang tumhaara hai manzum tumhaara hai

jo ishq samajh baiThe kab un ko KHabar hogi
har rang mein ek jalwa-e-masum tumhaara hai

jholi mein faqiron ki baKHshi hui daulat hai
dil ka jo sitara hai maqsum tumhaara hai

ye qissa-e-jaan yun hi mashhur nahin hota
lazim to hamara tha malzum tumhaara hai

kyun shahr ki galiyon mein azkar ye rahta hai
marhum tumhaara tha marhum tumhaara hai