hum se ulfat jatai jati hai
be-qarari baDhai jati hai
dekh kar un ke lab pe KHanda-e-nur
nind si gham ko aai jati hai
gham-e-ulfat ke kar-KHane mein
zindagi jagmagai jati hai
un ki chashm-e-karam pe naz na kar
yun bhi hasti miTai jati hai
bazm mein dekh rang-e-amad-e-dost
raushni thartharai jati hai
dekh ai dil wo uTh rahi hai naqab
ab nazar aazmai jati hai
un ke jate hi kya hua dil ko
shama si jhilmilai jati hai
teri har ek baat mein 'ehsan'
ek na ek baat pai jati hai
Ghazal
Humse ulfat jatai jati hai
Ehsan Danish