hum se pahle to koi yun na phira aawara
dard aawara dil aawara wafa aawara
kya use mil gai kuchh tere badan ki KHushbu
aaj phulon mein nahin aai saba aawara
jis ki nuzhat se do-baala thi watan ki raunaq
shahr se dur mujhe wo bhi mila aawara
main ne kab mujh se na milne ka gila tum se kiya
ab mujhe tum na kaho bahr-e-KHuda aawara
phir teri yaad ne sine mein basera Dala
phir tere shahr mein aabaad hua aawara
be-karan waqt ki bandish se mili aazadi
chand lamhon ke liye main bhi hua aawara
tohmat-e-qadr bhi hai jabr ki ruswai mein
pa-ba-zanjir ko bhi tum ne kaha aawara
dhup hai tapti hui ret hai virani hai
aaj dekha nahin wo aabla-pa aawara
bewafa logon ke hathon se chhuDa kar daman
dil mein kis shauq se phirti hai wafa aawara
sochta hun ki use jab na mile sharaf-e-qubul
kin KHalaon mein bhaTakti hai dua aawara
ek aandhi gham-e-jaanan ki zara Thahri thi
ek bagula gham-e-dauran ka uTha aawara
kitni aankhon ke taaqub se hiraman ho kar
kunj-e-tanhai mein aabaad hua aawara
ruKH-e-raushan ki jhalak shart-e-wafa hai jaanan
teri galiyon ka pata bhul gaya aawara
KHema-zan phir se hui sehn-e-chaman baad-e-sumum
phir mere sath hui baad-e-saba aawara
manzil-e-ishq pe pahunche to koi sath na tha
dil juda KHak-basar aankh juda aawara
nutq viran hai alfaz pareshan hain 'munir'
soch hai sang-e-giran aur sada aawara

Ghazal
Humse pahle to koi yun na phira aawara
Syed Muneer