اردو हिंदी
Humse karte ho bayan ghairon ki yari aan kar | Shaahi Shayari
humse karte ho bayan ghairon ki yari aan kar

Ghazal

Humse karte ho bayan ghairon ki yari aan kar

Mohammad Isa Tanha

;

hum se karte ho bayan ghairon ki yari aan kar
rah gai hai aap ki ye dost-dari aan kar

hum ko aane se tumhaari bazm ke kya tha husul
dekh lete the magar surat tumhaari aan kar

ruThne par mere kya lazim tha ho jaana KHafa
balki karni thi tumhein KHatir hamari aan kar

tan-e-bad-KHwahan se tu ik-dam na pawega qarar
ki jo tere dar pe hum ne be-qarari aan kar

tha agarche ghash mein majnun lekin aankhen khul gain
sar pe us ke jis ghaDi laila pukari aan kar

jis jigar-kushta ka tere lasha tha KHun mein paDa
KHub sa roya wahan abr-e-bahaari aan kar

main bhi kya bargashta-talea hun ki 'tanha' raat ko
phir gai dar tak mere us ki sawari aan kar