hum se jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya
apne ushshaq ko wo ghuncha-dahan bhul gaya
qais ka jalwa-e-laila jo hua hosh-ruba
wo sarasima hua najd ka ban bhul gaya
kya karishma ye teri chashm-e-suKHan-go ne kiya
kis ki jaanib tha mera ru-e-suKHan bhul gaya
KHar KHar-e-gham-e-ulfat ne kiya rah ghalat
tera madhosh-e-nazar rah-e-chaman bhul gaya
nigah-e-shauq ne diwana banaya mujh ko
kuchh KHabar apni nahin hai hama-tan bhul gaya
ho gaya hosh-ruba husn-e-fareb-e-alam
nal jo bazi mein laga ishq-e-daman bhul gaya
shauq-o-ram tere jo dekhe hain ghazal-e-rana
chaukDi apni bayaban mein hiran bhul gaya
sair-e-gulzar mein hai mahw-e-tamasha wo gul
bulbul-e-shefta ko ghuncha-dahan bhul gaya
sabza-e-KHat ne tere rah mein ghera mujh ko
gharq main ho na saka chah-e-zaqan bhul gaya
mahw hota hi nahin is ka kabhi dil se KHayal
yaad karta hi nahin mushfiq-e-man bhul gaya
shahid-e-mast ne sarmast kiya hai 'saqi'
hum wo madhosh hue rang-e-suKHan bhul gaya
Ghazal
Humse jo ahd tha wo ahd-shikan bhul gaya
Pandit Jawahar Nath Saqi