hum se bhi gahe gahe mulaqat chahiye
insan hain sabhi to musawat chahiye
achchha chalo KHuda na sahi un ko kya hua
aaKHir koi to qazi-e-hajat chahiye
hai aaqibat KHarab to duniya hi Thik ho
koi to surat-e-guzar-auqat chahiye
jaane palak jhapakne mein kya gul khilae waqt
har dam nazar ba-surat-e-haalat chahiye
aaegi hum ko ras na yak-rangi-e-KHala
ahl-e-zamin hain hum hamein din raat chahiye
wa kar diye hain ilm ne dariya-e-marifat
andhon ko ab bhi kashf o karamat chahiye
jab qais ki kahani ab anjum ki dastan
duniya ko dil lagi ke liye baat chahiye
Ghazal
Humse bhi gahe gahe mulaqat chahiye
Anjum Rumani