hum se bhaga na karo dur ghazalon ki tarah
hum ne chaha hai tumhein chahne walon ki tarah
KHud-ba-KHud nind si aankhon mein ghuli jati hai
mahki mahki hai shab-e-gham tere baalon ki tarah
tere bin raat ke hathon pe ye taron ke ayagh
KHub-surat hain magar zahr ke pyalon ki tarah
aur kya is se ziyaada koi narmi bartun
dil ke zaKHmon ko chhua hai tere galon ki tarah
gungunate hue aur aa kabhi un sinon mein
teri KHatir jo mahakte hain shiwalon ki tarah
teri zulfen teri aankhen tere abru tere lab
ab bhi mashhur hain duniya mein misalon ki tarah
hum se mayus na ho ai shab-e-dauran ki abhi
dil mein kuchh dard chamakte hain ujalon ki tarah
mujh se nazren to milao ki hazaron chehre
meri aankhon mein sulagte hain sawalon ki tarah
aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila
chand sikke hain mere hath mein chhaalon ki tarah
justuju ne kisi manzil pe Thaharne na diya
hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah
zindagi jis ko tera pyar mila wo jaane
hum to nakaam rahe chahne walon ki tarah
Ghazal
Humse bhaga na karo dur ghazalon ki tarah
Jaan Nisar Akhtar