hum samajhte hain aazmane ko
uzr kuchh chahiye satane ko
sang-e-dar se tere nikali aag
hum ne dushman ka ghar jalane ko
subh-e-ishrat hai wo na sham-e-visal
hae kya ho gaya zamane ko
bul-hawas roe mere girye pe ab
munh kahan tere muskurane ko
barq ka aasman par hai dimagh
phunk kar mere aashiyane ko
sang-e-sauda junun mein lete hain
apna hum maqbara banane ko
shikwa hai ghair ki kudurat ka
so mere KHak mein milane ko
roz-e-mahshar bhi hosh gar aaya
jaenge hum sharab-KHane ko
sun ke wasf us pe mar gaya hamdam
KHub aaya tha gham uThane ko
koi din hum jahan mein baiThe hain
aasman ke sitam uThane ko
naqsh-e-pa-e-raqib ki mehrab
nahin zebinda sar jhukane ko
chal ke kabe mein sajda kar 'momin'
chhoD us but ke aastane ko
Ghazal
Hum samajhte hain aazmane ko
Momin Khan Momin