اردو हिंदी
Ham-safar raaton ke sae ho gae | Shaahi Shayari
ham-safar raaton ke sae ho gae

Ghazal

Ham-safar raaton ke sae ho gae

Mushtaq Naqvi

;

ham-safar raaton ke sae ho gae
chand tare raston mein so gae

qissa-e-dil mein wafa ki baat par
us ne yun dekha ki hum chup ho gae

tum to koi ajnabi ho ajnabi
jo hamare the wo tum kya ho gae

manzilen aawaz de kar thak gain
qafile gard-e-safar mein kho gae

aaj tak aankhon mein ek taswir hai
go use dekhe zamane ho gae