hum ruh-e-kaenat hain naqsh-e-asas hain
hum waqt ka KHamir zamane ki bas hain
tanha hain hum tamam na qurbat na fasle
hum aap ke qarib na hum apne pas hain
kab se Tange hue hain KHalaon ke aas pas
kab se ye aasman ke sitare udas hain
KHud haT gae hain dur wo pani ke zor se
dariya ke wo kinare jo dariya-shanas hain
KHud-raw hain hum hamein na KHizan se Daraiye
sahra ke mast phul hain jangal ki ghas hain
kitni bahaaren aa ke chaman se guzar gain
hum hain ki ek gul ke liye mahw-e-yas hain
jin ke badan pe atlas-o-kamKHab hai 'samad'
sach puchhiye to log wahi be-libas hain

Ghazal
Hum ruh-e-kaenat hain naqsh-e-asas hain
Samad Ansari