اردو हिंदी
Hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte | Shaahi Shayari
hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte

Ghazal

Hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte

Mirza Ghalib

;

hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte
marte hain wale un ki tamanna nahin karte

dar-parda unhen ghair se hai rabt-e-nihani
zahir ka ye parda hai ki parda nahin karte

ye bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai
'ghaalib' ko bura kahte hain achchha nahin karte