ham-rang laghari se hun gul ki shamim ka
tufan-e-baad hai mujhe jhonka nasim ka
chhoDa na kuchh bhi sine mein tughyan-e-ashk ne
apni hi fauj ho gai lashkar ghanim ka
yaran-e-nau ke waste mujh se KHafa hue
tum ko nahin hai pas niyaz-e-qadim ka
yaad aai kafiron ko meri aah-e-sard ki
kyunki na kanpne lage shola jahim ka
az-bas-ki sabt-e-nama hai soz-e-tap-e-darun
qasid ka hath hai yad-e-baiza kalim ka
waiz kabhi hila nahin ku-e-sanam se main
kya jaanun kya hai martaba arsh-e-azim ka
mara hai wasl-e-ghair ke shikwe pe chahiye
madfan juda juda meri lash-e-do-nim ka
kahta hai baat baat pe kyun jaan kha gae
goya ki pak gaya hai kaleja nadim ka
waiz buton ko KHuld mein le jaenge kahin
hai wada kafiron se azab-e-alim ka
'momin' tujhe to wahb hai momin hi wo nahin
jo mo'taqid nahin teri tab-e-salim ka
Ghazal
Ham-rang laghari se hun gul ki shamim ka
Momin Khan Momin