اردو हिंदी
Hum pi gae sab hile na lab tak | Shaahi Shayari
hum pi gae sab hile na lab tak

Ghazal

Hum pi gae sab hile na lab tak

Shohrat Bukhari

;

hum pi gae sab hile na lab tak
ji haar gae nujum-e-shab tak

har chand ghaTaen chhaT gai hain
par dal pe ghubar sa hai ab tak

KHush ho na zamana mere gham par
aaega ye daur-e-jam sab tak

ashkon ne fasana kar diya hai
wo lafz ki aa saka na lab tak

har gham ko uDa daya hansi mein
tum pesh-e-nazar rahe ho jab tak

mai-KHane main sar chhupaen aao
wa ho dar-e-kaba jaane kab tak

'shohrat' koi aur baat chheDo
ulTen wo naqab-e-lutf jab tak